#shayari

LIVE

ज़िन्दगी का फलसफा भी कितना अजीब है शामें कटती नहीं और साल गुज़रते चले जा रहे है.

-पीयूष मिश्रा

Translation -

How strange is the philosophy of life, the evenings do not end and the years are passing by.

- Piyush Mishra

Bhool bhi jao beeti baaten,

In baaton main kya rakha hai,


Chup chup kyun rehte ho ‘nasir’,

Kya yeh rog laga rakha hai..

Is nagrii ke kuch logon ne,

Dukh ka naam davaa rakkha hai..

Dukh Day Kar Sawaal

Kartay ho,

Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal

Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal

meraa,

Chalo Kuch tou Khayaal

Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye

Udaasiyaan Kaisi ??

Ye Bhe mujh say Sawaal

Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar

nahe Saktay,

tum Bhe Jeenaa muhaal

Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon

tum Ko ?

her Sitam Bay-misaal

Kartay ho …

Tum kahan jao ge socho mohsin,

Log thak–haar ke ghar jaate hain..

Yeh log kaise magar dushmani nibhaate hain,

Humen to raas na aayin mohabbaten karni..

Tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi,

Khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare..

Uske dil par bhi kadi ishq mein guzari hogi

Naam jisne bhi mohabbat ka saza rakha hai..

Shab-e-gham ki sehar nahin hoti

Ho bhi to mere ghar nahin hoti

Zindagi tu hi mukhtasar ho ja,

Shab-e-gham mukhtasar nahi hoti


(shab-e-gham = dark gloomy nights, sehar = dawn/ sunrise, mukhtasar = shorten/ curtail)

Qafas ki teeliyan rangeen kyun hain? -Yahan pe sir ko phora hai kisi ne….!

Qafas- Birds cage

Ajeeb sa dar beth jata hai aqsar

Humare maan main

Lekin socho tho

In sabh baato ke liye

Waqt kam hai

Aur zindagi bhi bohot choti

stormy clouds and rough waves,

these turbulences,

it shall pass.

nothing lasts forever.

Phir se aa jati hai milne tanhai

Aqsar jo achi lagti

Lekin na jaane kiyon aaj

Saath main dard leh aayi

Yeh dil lagta hai kabhi thanda kabhi khali

Aaj hai kaafi baari

why did you start expecting ?

now, you’re the only reason

of your heart breaking.

loading