#urdu quote

LIVE

Bhool bhi jao beeti baaten,

In baaton main kya rakha hai,


Chup chup kyun rehte ho ‘nasir’,

Kya yeh rog laga rakha hai..

Is nagrii ke kuch logon ne,

Dukh ka naam davaa rakkha hai..

Dukh Day Kar Sawaal

Kartay ho,

Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal

Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal

meraa,

Chalo Kuch tou Khayaal

Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye

Udaasiyaan Kaisi ??

Ye Bhe mujh say Sawaal

Kartay ho ???

Marnaa Chaahain tou mar

nahe Saktay,

tum Bhe Jeenaa muhaal

Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon

tum Ko ?

her Sitam Bay-misaal

Kartay ho …

Tum kahan jao ge socho mohsin,

Log thak–haar ke ghar jaate hain..

Yeh log kaise magar dushmani nibhaate hain,

Humen to raas na aayin mohabbaten karni..

Tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi,

Khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare..

Uske dil par bhi kadi ishq mein guzari hogi

Naam jisne bhi mohabbat ka saza rakha hai..

Shab-e-gham ki sehar nahin hoti

Ho bhi to mere ghar nahin hoti

Zindagi tu hi mukhtasar ho ja,

Shab-e-gham mukhtasar nahi hoti


(shab-e-gham = dark gloomy nights, sehar = dawn/ sunrise, mukhtasar = shorten/ curtail)

pee ja ayyam ki talkhi ko bhi hans kar nasir – laugh and drink even the bitter days Nasir (laugh and accept what the days brings)


ghum ko sahne mein bhi qudrat ne maza rakha hai – even in suffering sorrow there is some pleasure..

Qafas ki teeliyan rangeen kyun hain? -Yahan pe sir ko phora hai kisi ne….!

Qafas- Birds cage

Zara aana

yahan mere pass,

beth te hain.

Tum aur main

aur do cup chai.

Kuch kahaniyan sunaungi,

kuch tumhari sunungi.

Zara aana

yahan mere pass,

Guzarte hain kuch paal.

لا أستطيع أن أفعل شيئًا سوى الصلاة لأن قلبي يعلم أنه ليس من المفترض أن نكون كذلك

I can do nothing but pray because my heart knows we’re not meant to be.

— memoirsofbilal (via Instagram)

من أجل حياة ، مؤقتة - تلحق بنا إلى الأبد.

“for a life, such temporary — forever befools us.”

— memoirsofbilal (via Instagram)

loading